sarkarein badli, shasan badle
hum wahin ke wahin
mausam badle, zamaane badle
hum wahin ke wahin
umar badhi aur kad bhi
kaathi bhi aur saathi bhi
aankh khuli to raah nahi
moondhe to khwaab mile
kab aaye the, kaise aaye the, kyu aaye the
kab aaye the, kaise aaye the, kyu aaye the
sochein to yaad nahi, na sochein to……par aisa mumkin nahi
na dil mile na dildaar mile, par hazaaron khaane ke bill mile
bhar diye……phir kayi baar mile
naam tha bahot, kaam tha bahot
par is duniya se anjaan tha bahot
sehme, ghabraye, ghar se bahar nikal gaye
jab pahuche, jaise pahuche, kuch naye jazbaat nazar aaye
ghar se duur to the hi, manzil se bhi the
doston ko hathyaar banaya, auzaar bhi aur sahara bhi
bahot aaye, bahot gaye
par hum wahin ke wahin
ghar ki yaad satati thi kabhi, par jaa kar yeh jagah yaad aati thi kabhi
kuch alag sa tha nasha yahan, na chahte hue bhi iski lat lagi
ajab sa tha jaadu iss mausam mein
dost naa bhi sahi yahan, phir bhi kuch to baat lagi
phir laga ladh kar koi fayda nahi
shayad main hi galat hu,
ek mauka deke to dekhein
phir sarkarein badli, phir shasan badle
phir mausam badle, phir zamaane badle
aur hum kahin se kahin
soch badli, nazariya badla, vichaar badle
par ab bhi hathyaar nahi, auzaar nahi, mere yaar nahi
doston ki fauj nahi ek choti si toli thi
jisme kuch naye bharti hue par puraane shaheed nahi
kitna kuch jhela, kitna saha
kitna kuch suna, kitna kaha
samay badla, manzar badla
par iss char deewari ke bahar
aaj bhi agar kahein ke hum
wahin ke wahin
to hum shayad galat nahi
par aisa kehna sahi bhi nahi
ke hum wahin ke wahin
:)) nicely put.. it records the trajectory of your travels and travails .. :) sounds a bit melancholic but then, you write best when in pain.
ReplyDeletea good effort :) very good
:)) Thnx ji....thnx a ton... dnt knw much....jst an effort..... n if u say a gud one...
ReplyDeleteso....merci.....