Monday 26 September 2011

What is it called...?? Trapcode Escapism...??

Just wanna say one thing before you start reading the main body...
this shows the transition in the moods n thoughts while writing... just how helps u to flow free without any motives...without any direction in mind... dont bother where it started n where it ended...just flow with it...enjoy...!! :D

yaadon ka kya hai
wo to sirf aati hain
bin soche, bin samjhe
bas daudi chali aati hai

ik khaali kamra sa ho maano ye mann
jise yaadein roshan karti hain

kabhi socha na tha
yeh yaad aakhir kyu aati hai
dil ya dimaag, kahan basti hai
hasti hai, hasaati hai
roti hai rulaati hai
insaan ko insaan aur shaitan ko bhi insaan banati hai

hoti badi natkhat hai yeh
ziddi bhi, chanchal bhi,
bholi bhi, masoom bhi
kami hai to bas ek aakriti ki
warna kisi bachche se kam nahi

inke sahare jeena seekha, nahi bhi
khana seekha dahi bhi
bas ek jalebi mil jaaye saath to kya hai
maarti bhi hain yeh aur marti bhi

aahein bharte hain aksar inhi ke kaaran
aur kabhi
aahun aahun karne ko majboor hain karti

kitne rang chupaaye apne andar yeh rakhti
kitni khushbuyein, kitne khwaab, kitni saansein

har yad ka hai ek different sa taste
jo chod jaaye apni chaap jaise mint flavor toothpaste,
kuch hain achi, kuch hain waste
but for sure sabka hai apna ek unique taste

shri shri subhash ghai ne apne chalchitra "Yaadein" mein satya vachan farmaya ke
""Nagme hain, shikve hain, kisse hain, baatein hain,
baatein bhul jaati hain, yaadein yaad aati hain"

Now stop singing the gaana
thinkin bout hrithik aur kareena ka gham mein doob jaana
coz this is what is exactly called yaad aana

therefore : Nagme + Kisse + Shikve + Baatein = Yaadein
Hence Proved